2wheeler Reviews
232 views
1 day ago
Tuono 457, Aprilia ki sabse nayi motorcycle hai. Yeh bike naked version hai faired RS 457 ki jise brand ne launch kiya tha pichle saal. Tuono 457 under 500cc ki segment me bikne wali street naked offering hai, jo powered hai 457 cc ki parallel-twin liquid-cooled motor se jo RS 457 par bhi payi jaati hai. Fairing na hone ke karan Tuono 457 chalane me jayada flickable hai aur iske gear ratio bhi short kiye gaye hai aur bhi engaging ride experience ke liye. Hamne iss motorcycle ko Bangaluru ke Nandi hills ke yaha chalai hai. Video dekhiye aur batao aap ko kaise lagi nayi Aprilia Tuono 457.
57 views
11 days ago
Simple Energy ek Bengaluru-based EV startup hai jiske portfolio mein One aur One Dot electric scooters hain. Pichle do varshon mein, jab se company ne One ki sales shuru ki hai, braand ne One ke sambandh mein scooter ko ride experience aur behatar karne ke liye usme sudhaarane aur naye features include kiye hai. Yeh scooter hardware aur design ke mamale me same hai aur abhi bhi dikhne me striking aur performance me damdar hai. In software changes ke sath Simple One kitni behataar ho gayi hai yeh hum apko batayenge iss video me. Apne vichaar comments me bataye aur hamen yah bhee bataen ki kya aap Simple One khareedna chahenge. #SimpleOne #EV #twowheelers #review #carandbike
2,265 views
17 days ago
42 FJ, Jawa Motorcycles ki sabse nayi motorcycle hai, jaha FJ stand karta hai, Franticheck Yanicheck, jo Jawa company ke founder the. Jawa company ka sarthak hua tha 1929 me yeh nayi 42 FJ iss brand ke 42 series ki latest aur teesri model hai. Yeh motorcycle baki 42 models se badi, lambi aur jayadi powerful hai, aur iss motorcycle ko hamne chalaya hai Chennai se Pondicherry, aapko batana ke yeh motorcycle kaise hai. Aapke vichar hame jaroor bataiye niche comments me.
813 views
21 days ago
Hosur factory ke test facility mein nayi TVS Jupiter 110 ride karne ke baad, ab humne is scooter ko real-world conditions mein extensively test kiya hai. Ismein performance, handling, naye features, aur sabse important "kitna deti hai" ka jawab dhoondhne ki koshish ki hai. Aapko nayi Jupiter kaisi lagi, comments mein zarur batayein, aur kaunse scooter ke saath aap iska comparison dekhna chahenge, Honda Activa ke alawa. #TVS #TVSJupiter #commuter #familyscooter #review #carandbike
6,471 views
1 month ago
Naye saal mein Ather Energy ne apne 450X electric scooter ko kar diya hai update, aur ab yeh offer karti hai pehle se zyaada range aur traction control ki suraksha. Chaliye iss refreshed scooter ki ek quick first ride pe Amaan Ahmed ke saath.
1,656 views
2 months ago
British motorcycle brand Triumph ne haal hi mein nayi Speed T4 launch ki hai jo market me company ki sabse sasti bike hai. Ye kaafi kuch Speed 400 ke saath share karti hai lekin kuch differences bhi hain. Humne ki is nayi bike ki ride
3,283 views
2 months ago
Ducati me Bharat mein apni superbike Diavel ki nayi generation launch kar di hai. Isme ab 4 cylinder engine milta hai and power bhi badh gayi hai. Lekin kya is keemat par ye bike aapko Leni chahiye? Bata rahe hain Preetam
1,472 views
2 months ago
2024 Yezdi Adventure ko dirt aur slush mein chalane ke baad, ab humne ise highways aur city roads par test kiya. Nayi bike mein kaafi updates kiye gaye hain, jaise kam weight, suspension tweaks, better engine mapping, aur revised ergonomics, jo isse aur bhi accha banate hain. Road test video dekho aur apne vichar comments mein share karo! #yezdi #yezdiadventure #adventure #review #motorcycles
4,102 views
3 months ago
Yeh hai nayi Velocifero Tennis, ya VLF Tennis, ek Italian design wali e-scooter hai jo ab India mein Motorhaus ke under launch hui hai. Iski e-scooter ki price Rs 1.30 lakh (ex-showroom) hai. Ye e-scooter Kolhapur ke KAW Veloce Motors ke facility mein assemble hogi, jiska annual capacity 20,000 units hai. Tennis ki deliveries is mahine ke end tak shuru hongi. Company ne Tier 1 aur Tier 2 cities mein 15 outlets ka network banane ka plan kiya hai, jaise Mumbai, Pune, Bengaluru, Goa, Chennai, Jaipur, Ahmedabad aur aur bhi jagahon par. Ye ek simple aur fuss-free e-scooter hai jo kaafi badiya hai. Hamare first impressions video ko zarur dekhe aur apne thoughts share karein! #VLFTennis #escooter #EV #Italian #carandbike
10,094 views
4 months ago