2wheeler Reviews
213 views
3 months ago
Kuch mahinon pehel Bajaj ne market mein ab tak ki sabse badi, powerful aur mehengi Pulsar launch ki. Lekin apni Kam keemat ke bawajood kya Pulsar NS400Z aapke liye bani hai? Janak de rahe hain sabhi zaroori sawalon ke jawab #bajajpulsar #pulsar #pulsarns400z #ns400z #bajaj #roadtest
6,291 views
3 months ago
Ola Electric ne aaj pesh kar di hain 3 nayi motorcycles, jis mein se ek hai Roadster. Iski introductory keemat shuru hoti hai Rs 1.05 lakh se, aur jaati hai Rs 1.40 lakh tak (ex-showroom). Amaan Ahmed laaye hain aapke liye ek detailed walkaround seedhe Ola ki Futurefactory se.
1,100 views
3 months ago
Legends ne Yezdi Adventure motorcycle mein kiye hain kayi bade badlaav, jin mein shaamil hai ek updated engine, updated gearbox aur yeh ho gayi hai pehle se halki. Kya itne saare changes ke sahaare Adventure bann gayi hai ek ideal ADV? Jaaniye Preetam Bora ke saath humaare review video mein.
6,551 views
4 months ago
Yeh hai all-new Bajaj Freedom 125, duniya ke sabse pahili CNG-powered production motorcycle jisse launch kiya hai India me. Teen variants me available, jaha prices ki shuruvat hoti hai Rs 95,000 base model ke liye aur Rs 1.10 lakh top-spec version ke liye (dono ex-showroom). Freedom 125 wheel to wheel nayi hai har aspect me, iski engine, design aur chassis se lekar, CNG system sabhuch naya hai. Humne iss motorcycle ko kafi chalaya aur test kiya hai aapko ek detailed first ride review video ke liye. Comments me jaroor bataiye aapko kaisi lagi Bajaj ki Freedom 125 CNG motorcycle. #BajajFreedom125 #CNGbike #review #FreedomCNG #motorcycle
793 views
4 months ago
Ultraviolette ne update kiya hai unki F77 electric motorcycle ko Mach 2 version ke saath, jaha apko milte hai naye features, kuch software and hardware updates ke saath. Yee motorcycle abb available hai naye colour options aur updated graphics ke saath jisse yee motorcycle abb aur bhi appealing dikhti hai. Dekhiye video ko for all the information on the updated F77 Mach 2 from Ultraviolette. #Ultraviolette #F77 #Mach2 #Electric #Review #Motorcycle #electricbike #carandbikehindi #fyp #hindi #reviewinhindi
491 views
5 months ago
Hero Xtreme 125R aur TVS Raider 125 naye zamaane ke 125 cc bikes hain, jinka design badiya hai, features kaafi saare diye gaye hain aur performance bhi sahi hai. Lekin inn dono motorcycle mein se aap kaunsi bike chunenge? Wahi jaanne ke liye humara comparison video zarur dekhen, jisme humnein charcha ki ha dono bikes ki. #Hero #TVS #Xtreme125R #Raider #125ccBikes #Commuter #Bikes #Motorcycles #Roadtest #Review #Comparison #car&bike
678 views
5 months ago
Suzuki V-Strom 800 DE ek badhiya adventure bike hai jiska performance bhi dumdaar hai, dher saare features hain aur iski pricing bhi aggressive hai. Toh kya yeh apne segment ki sabse acchi motorcycle hain? Aur kya kamiyan hai iss ADV mein? Jaan ne ke liye hamara video review zaroor dekhen aur apne vichaar humein comments mein zaroor batayen. #Suzuki #V-Strom800DE #V-Strom #Review #RoadTest #Motorcycles #Bikes #RealWorld
992 views
6 months ago
Yamaha MT-03 ek behatreen motorcycle hai. Smooth aur powerful engine, shaandar design aur comfortable riding position ke saath, MT-03 apne segment ki badhiya motorcycle hai. Lekin, isme kuch kamiyan bhi hai aur saath hi, yeh kaafi mehengi bhi hai. Poore review ke liye humara video zaroor dekhen. #Yamaha #MT03 #MT #Review #RoadTest #Motorcycles #Bikes #RealWorld
667 views
6 months ago
TVS ne launch kiye iQube electric scooter ke naye variants. Toh kya khaas hai inn models mein, kitni range hai aur keemat kya hai. Saari jaankari iss video mein aapko mil jayegi, toh dekhiyega zaroor. #TVS #iQube #electric #scooter #EV #electricscooter
4,775 views
7 months ago
Motorcycles ki duniya me Eliminator name ne comeback kiya hai, lekin iss naam ka iss bar isse pehle bikne wali Bajaj Eliminator se koi bhi lena dena nahi hai. Yeh hai Kawasaki ki Eliminator cruiser ki jo bahar gaon me bikhti hai. Yeh motorcycle positioned hai under 500 cc ke cruiser class me aur positioned hai Vulcan S ke niche. Yeh cruiser istemal karti hai Ninja 400 ke platform ko, or uski hi chassis aur powertrain par adharit hai. Abb yeh Japanese cruiser chalne me kaisi hai aur kya is motorcycle main woh baat hai jo ki iske mahenge price tag ko justify kar sake? Dekhiye iss review video ko jaane ke liye. #KawasakEliminator #Cruiser #motorcycle #Kawasaki #Eliminator #Roadtest #Review